Read the best collection of Ahmad Nadeem Qasmi Poetry. AHMED NADEEM QASMI nazam, urdu ghazals, 2 line shayari and poems by this great poet.
AHMED NADEEM QASMI GHAZALS

IK HAQEQAT SAHI FIRDOS
Ik haqeqat sahi firdos main horon ka wajod
Husn-e insaan se nimat lon to wahan tak dekhun

KHAMSOH RAATON MAI JO
Khamosh Raaton Main Jo Dharkenain Bakheri Thi
Main Un Ko Lari Main Pro Ke Laya Hun
Tu Un Ko Sirf Uchati Hoyi Nazar Se Na Dekh
Keh Main Sitaron Se Lar Kar Zameen Pe Aya Hun

KIDAR JA RAHE HAIN HAM
Ik Umer Se Fareb-e Safar Kha Rahay Hain Ham
Ma’aloom Hi Nahi Kidhr Ja Rahe Hain Ham

AAKHIR DUA KREIN BHI TU
Aakhir Dua Krein Bhi Tu Kis Mudaa Ke Sath
Kese Zamin Ke Baat Kahin Aasman Se Ham

MAI TERA HUSN BAYAN TAK
Faqat Is Shoq Mein Pochi Hai Hazaron Baatain
Mein Tera Husn Tere Husn-e Bayan Tak Dekhon

KATA HAI ZINDAGI KA SAFAR
Ajab Tzad Mein Kata Hai Zindagi Ka Safar
Labon Pe Pyas Thi Badal Thay Sir Pe Chaye Hoye

MAI TO DARYA HOO
Kon Kehta Hai Ke Moat Ayi Tu Mar Jaon Ga
Mein Tu Darya Hon Samandar Mein Utar Jaon Ga